Friday, November 20, 2009

Ram naam ke heere moti



(Note:- There are many variation of this bhajan such as Ram naam ke heere moti,Krishn naam ke heere moti, Mahavir naam ke heere moti.. So here this video will help you to know the dhun or we can say raag of the bhajan so with the help of raag you can sing the bhajan. Sorry I was anable to find same bhajan video I hope this will help you.)






Ram naam ke heere moti men bikravu gali gali
loot sako to loot lo, bin dam lootavu gali gali

jis jis ne ye lote moti, voh sab mala mal huve
moh maya ke bane pujari akir sab kangal huve, akir ve kangal huve
ram nam tere sang jayenga ,
ram nam ter sang jayega, yeh samjavu ghari gari
loot sako to loot lo bin dam lootavu gali gali
ram naam ke heere moti

yad karo bhakto ne kaise, hari ka darshan paya hai
or prabhu ne kaise apne, bhakto apnaya hai
tulsi meera nanda ke itihas sunavu gali gali
loot sako to loot lo bin dam lootavu gali gali
ram naam ke heere moti

jab tak asha joothe jag ki tab tak hota gnan nahi
is jag men hai sabhi bhikari yaha koi dhanvan nahi, yaha koi dhanwan …
jagat seth us savalsha ka
jagat seth us savalsha ka, nam japavu gali gali
loot sako to loot lo bin dam lootavu gali gali
ram naam ke heere moti

maya dolat walo ko bas, joothi rah dekhati hai
parmarath ka panth choora kar, apna nach rachati hai, apna nach …
maya ka abhiman choor do
maya ka abhiman choor do, yeh samjavu gali gali
loot sako to loot lo bin dam lootavu gali gali
ram naam ke heere moti men bikravu gali gali

loot sako to loot lo bin dam lootavu gali gali
ram naam ke heere moti men bikravu gali gali
loot sako to loot lo bin dam lootavu gali gali
ram naam ke heere moti

OR

Ram naam ke here moti mai bikravu gali gali
Le lo re koi ram ka pyara shor machau gali gali
Ram naam ke here moti…

Daulat ke diwane sunlo ek din esha aayega
Dhan yuwan aur roop khajana yahi dhara rah jayega
Sunder kaya mati hogi-2, charcha hogi gali gali
Ram naam ke…….

Pyare mitr saage sambandi ek din tujhe bulaynge
Kal tak aapna jo khete hai agni par tujhe sulayenge
Jagat saraye do din ki hai-2, aakhir hogi chala chali
Lelo re koi raam ka pyara shor machau gali gali
Ram naam ke……..

Kyu karta hai teri meri, chod de abhiman ko
Jute dhande chod de bande jap le hari ke naam ko
Do din ka ye chaman khila hai-2, phir murjaye kali kali
Lelo re koi raam ka pyara shor machau gali gali
Ram naam ke……..

Jis Jis ne ye heere lote wo to malamal huwe
Duniya ke jo bane pujari akhir wo kangal huwe
Dhan dulat aur maya walo-2, mai samjau gali gali
Lelo re koi raam ka pyara shor machau gali gali
Ram naam ke……..

3 comments:

  1. Was looking all over the internet for this specific variation of the bhajan. Thank you so much for posting!!!!! :D

    ReplyDelete
  2. What a wonderful piece of work. Thank you for your time and effort.

    ReplyDelete
  3. Can You Please english meaning

    ReplyDelete