Friday, November 20, 2009

Duniya chale na shri ram ke bina







Duniya chale na shri ram ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina,Ramji chale na hanuman ke bina .
Duniya chale na shri raam ke bina

Jab se ramayan padh le hai,
Ek baat maine samaj le hai
Ravan mare na shri ram ke bina,
Lanka jale na hanuman ke bina.
(Duniya chale na shri ram ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina)

Lakshman ka bachna mushkil tha
Kaun buti laane ke kabil tha
Lakshman baache na shri raam ke bina
Buti mile na hanuman ke bina
(Duniya chale na shri ram ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina)

Sita haaran ki kahani suno
Banwari meri zubaani suno
Vapas mile na shri raam ke bina
Pata chale na hanuman k bina
(Duniya chale na shri ram ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina)

Bahate shingasan par shri raamji
Charno mai bahate hai hanuman ji
Mukti mile na shri raam ke bina
Bhakti mile na hanuman ke bina

Duniya chale na shri ram ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina,Ramji chale na hanuman ke bina .
Duniya chale na shri raam ke bina
Ramji chale na hanuman ke bina

No comments:

Post a Comment