Friday, November 20, 2009

Radhika gori se






Radhika gori se, biraj ki chori se ,
Maiya karade mero byah

Umar teri choti hai, nazar teri khoti hai,
Kaise karadu tero byah

Jo nahi byah karave, teri gaiya nahi charau
Aaj k baad meri maiya ,teri deehali par na aauu
Aayega re mazza, re mazza ,ab jeet haar ka.
(Radhika gori se, biraj ki chori se ,
Maiya karade mero byah
Umar teri choti hai, nazar teri khoti hai,
Kaise karadu tero byah)

Chandan ki chowki par maiya tujhko behatau
Aapni radhika se mai, charan tore dabwaau
Bojan mai banwaunga, banwaunga, chapaan parkar ke
(Radhika gori se, biraj ki chori se ,
Maiya karade mero byah
Umar teri choti hai, nazar teri khoti hai,
Kaise karadu tero byah)

Choti si dulhaniya jab aangana mai dolegi
Tere samne maiya wo gungahat na kholegi,
daau se ja kaho ja kaho betege dawar par
(Radhika gori se, biraj ki chori se ,
Maiya karade mero byah
Umar teri choti hai, nazar teri khoti hai,
Kaise karadu tero byah)

Suun baate kahna ki,maiya behati muskaay,
Leke balaiya maiya, hivde se apne lagaaye
Najar kahi ,lag jaye na, lag jaye na mere laal ko.
Radhika gori se biraj ki chori se
maiya karadu tero biyah

Radhika gori se, biraj ki chori se ,
Maiya karade mero byah
Radhika gori se biraj ki chori se
Kahna karadu tero biyah
Radha karadu tero biyah
Kahna karadu tero biyah

1 comment: