Saturday, March 3, 2012

Mera aap ki kripa se






mera aap ki kripa se, sab kaam ho raha hai
karte ho tum kanahiya, mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa se, sab kaam ho raha hai

patwar ke bina hi, meri naav chal rahi hai
hairaan hai zamaana, manzil bhi mil rahi hai
karta nahi mai kuch bhi, sab kaam ho raha hai
karte ho tum kanhiya, mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa sse, sab kaam ho raha hai

tum saath ho to mere, kis cheez ki kami hai
kisi aur cheez ki ab, darkaar hi nahi hai
tere saath se gulam ab, gulfam ho raha hai
karte ho tum kanahiya, mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa se, sab kaam ho raha hai

mai to nahi hu kabil tera pyaar kaise pau
tuti hui vaani se gungaan kaise gaau
teri prerna se hi sab, yeh tamaam ho raha hai
karte ho tum kanhiya mera naam ho raha hai

tufaan aandhiyo mai, tune hi mujhko thama
tum krishn banke aaye, mai jab bana sudhama
tera karam yeh mujhe par sare aam ho raha
karte ho tum kanhiya mera naam ho raha hai
mera aap ki daya se sab kaam ho raha hai

mujhe har kadam dagar par tumne diya sahara
meri zindagi badal di tune kar ke ishaara
eshaan par tera yeh eshaan ho raha hai
karte ho tum kanhiya mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa se sab kaam ho raha hai