Friday, February 17, 2012

Brindaavan nka krishn kanhaiya......





brindaavan ka krishn kanhaiya
sab ki aankhon ka taara
man hi man kyon jale raadhika
mohan to hai sab ka pyaara
brindaavan ka krishn kanhaiya..................

jamana tat par, nand ka laala
jab jab raas rachaaye re
tan man dole kaanha aisi
bansi madhur bajaaye re
sudh-budh bhooli khadi gopiyaan
jaane kaisa jaadu daara
brindaavan ka krishn kanhaiya.................

rang salona aisa jaise
chhaai ho ghata saavan ki
ai ri ma.n to hui deewaani
manamohan mann bhaavan ki
tere kaaran dekh baanvare
chhod diya main ne jag saara
brindaavan ka krishn kanhaiya...

No comments:

Post a Comment