Friday, April 13, 2012

Man mein ram basale......



Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram

Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram

Janam Safal Hoga Bande Maan Mein Ram Basale…. Man Mein Ram Basale

Bole Ram Aaja Ram Bole Ram


Hai Ram Naam Ke Moti Ko Saanso Ki Maala Bana Le

Ram Patit Paawan Karunakar Aur Sadaa Sukh Dataa

Bole Ram Aaja Ram Bole Ram


Hai….Ram Patit Paawan Karunakar Aur Sadaa Sukh Dataa

Saras Suhavan Ati Manbhaavan Ram Se Preet Lagale

Maan Mein Ram Basale


Bole Ram Aaja Ram Bole Ram


Moh Maya Hai Jhuta Bandhan Tyag Use Tu Prani

Ram Ki Jyot Jalaa Kar Apna Bhag Jagaa Le

Maan Mein Ram Basale


Bole Ram Aaja Ram Bole Ram


Ram Bhajan Mein Doob Kay Apni Nirmal Kar Le Kaya

Ram Naam Se Preet Lagaa Kay Jeevan Paar Laga Le

Man Mein Ram Basale


Bole Ram Aaja Ram Bole Ram

Tuesday, April 10, 2012

hey maruti.... (from Bajarangbali movie)



hey maruti saari ram katha ka saar tumhari aankho me
duniya bhar ki bhakti ka hai bandar tumhari aankho me
hey maruti saari ram katha ka saar tumhari aankho me
jai jai jai barjarang bali

tum prem bhari ek gagar ho, shakti ke anokhe sagar ho,
jahan ram naam ka hira mile,(2) us haath ke tum sudhagar ho
sarkar ki aankho me tum ho,(2) sarkar tumhari aankho me
hey maruti....
jai jai jai.......

tum jaisi vibhuti n anya hue, prabhu bhakti tumhari anaya hue
prati bhagya dhanni hanuman suno(2) tumhe paa ke yeh dharti dhany hue
mata mithilesh dulari ka hai,(2) hai pyar tumhari aankho me
hey maruti.......
jai jai jai.........

Har bhakt ki bhakti ke pran ho tum, har veer ki shakti ki shaan ho tum
tum lakho me ek ho hanumanta,(2) vasuda ke liye vardan ho tum
din raat laga rehta prabhu ka(2) darbar tumhari aankho me
hey maruti........
jai jai jai..............

Hey maruti....



hey maruti saari ram katha saar tumhari aankho me
duniya bhar ki bhakti ka hai(2), bandar tumhari aankho me
hey maruti saariram katha ka saar tumhari aankho me
jai jai jai bajarang bali, jai jai jai bajarang bali

lanka ko tumi ne jalaya tha, jalaya tha, jalaya tha
ravan ko tumi ne hilaya tha, hilaya tha, hilaya tha
sanjeevani buti lakar ke,(2)l laxman ko tumi ne jilaya tha, jilaya tha, jilaya tha
rehte hai sada ragunandan ji,(2) sakar tumhari aankho me
hey maruti......
jai jai jai bajarang bali.......


tum sach much sankat mochan ho, sankat mochan ho
sankar ki tarah trilochan ho, trilochan ho
jis par ho tumhari kripa use(2) kabhi kast na ho, kabhi soch na ho
chinta ko jo kaat kar rakh de wo(2) talvar tumhari aanko me
hey maruti......
jai jai jai bajarang bali......

Saturday, March 3, 2012

Mera aap ki kripa se






mera aap ki kripa se, sab kaam ho raha hai
karte ho tum kanahiya, mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa se, sab kaam ho raha hai

patwar ke bina hi, meri naav chal rahi hai
hairaan hai zamaana, manzil bhi mil rahi hai
karta nahi mai kuch bhi, sab kaam ho raha hai
karte ho tum kanhiya, mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa sse, sab kaam ho raha hai

tum saath ho to mere, kis cheez ki kami hai
kisi aur cheez ki ab, darkaar hi nahi hai
tere saath se gulam ab, gulfam ho raha hai
karte ho tum kanahiya, mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa se, sab kaam ho raha hai

mai to nahi hu kabil tera pyaar kaise pau
tuti hui vaani se gungaan kaise gaau
teri prerna se hi sab, yeh tamaam ho raha hai
karte ho tum kanhiya mera naam ho raha hai

tufaan aandhiyo mai, tune hi mujhko thama
tum krishn banke aaye, mai jab bana sudhama
tera karam yeh mujhe par sare aam ho raha
karte ho tum kanhiya mera naam ho raha hai
mera aap ki daya se sab kaam ho raha hai

mujhe har kadam dagar par tumne diya sahara
meri zindagi badal di tune kar ke ishaara
eshaan par tera yeh eshaan ho raha hai
karte ho tum kanhiya mera naam ho raha hai
mera aap ki kripa se sab kaam ho raha hai