Friday, February 17, 2012

Tora man darpan kahlaye





Bhajan played on flute:-


Instrumental with lyrics:-


By pandit ramdat:-


praani apapne prabhu se puche kis vidhi paauun tohe

prabhu kahe tu man ko paa le, paa jayegaa mohe

tora man darpan kahlye

bhale bhure sare karmo ko dekhe aur dikhaaye.

tora man darpan kahlaye


man hi devata, man hi iswar, man se bada na koi

man ujiyaaraa jab jab phaile, jag ujiyaara hoye

is ujale darpan par prani, dhuul na jaane paaye,

tora man......


sukh ki kaaliya dukh ke kaante, man sab ka aadhar

man se koi baat chhupe na, man ke nain hazar

jag se chaahe baag le koi, man se bhag na paaye

tora man......


tan ki daulat dhalati chhaayaa, man ka dhan anmol

tan ke karaan man ke dhan ko mat maati me rol

man ki qadar bhulane wala, hiraa janam gavaaye

tora man......





No comments:

Post a Comment